गुरुवार, 16 जून 2011

Maan ki baat, satheeyon ke naaam

aadmi itna v gir jayega, iska mujhe andaza nahi tha. manta hun, paisa bahut kuchh hai, lekin sab kuchh nahin hai. waise, paisa mehanat se aata hai yah sabhi jante hain. lekin, aaj ke yuwa warga ko chhod kar. Kyunki, aaj ke yuwa shortkut ke raste dher sare paise kama lena chhahte hain. hamare org. me kaiee sathee hai lagbhag sabhi sathee aaramparasthi ho gaye hain. mera maanna hai ki jis sathee ke dimag me aksar paisa aur paisa swar ho gya ho, wo bhla kaam ko kitna sensative hokar kar payega? jabki, aaj har kisi ko chahiye ki, wo desh ko, samaj ko, org. ko de kya rha hai. dene ki aadat jo sikh leta hai, wo kabhi khali nahi rahta hai. likin aaj yahan, har koiee lena sikha hai. issiliye, bharat aaj itna pichhe hai.

aaj desh ko chahiye ek ieemandar yuwa, samarpit yuwa. hosh, josh, sahas mayena ab nahi rakhata, chunki, yah sab lagbhag har yuwa ke paas hai. par ieemandar hona, samarpit hona, desh ke parti, society ke parti, ghar ke parti, maa-baap ke parti..........yah sab har yuwa ke paas nahi hai. 

बुधवार, 8 जून 2011

zindgi 2

gar thoda sa
mil gya mouka
to fir
zindgi ko
zindgi bhar
nachane me v
aata hai
khub maza.

zindgi 1

thodi si muskil
aur hum
kahne lagte hain
ki
zindgi bhi
kya khub 
nazati hai.